Mobile Phone Se Deleted Photo ( Images ) Ko Recover Kaise Kare
Hello friends,Aaj ki is post me hum aapko batane ja rahe hai ki mobile phones se deleted photo ( image ) ko recover kaise kare. Aaj kal mobile phone bacha bacha ke paas rahta hai,har koi mobile phone ka istemal karte hai. Ab to bahut se log android smartphone ka bhi use karte hai. Android mobile ko bahut sare log pasand karte hai. Android phone me bahut sare settings hai jo ki hame bhi pata nahi hota hai. So aaj hum aapko ek aisa tarika batane ja rahe hai jiski madad se aap apne android mobile se delete kiya hua image ko recover kar sakte hai. To chaliye jante hai ki mobile se delete huye photo ko recover kaise karte hai.
![]() |
Android Mobile Ke Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare |
Phone se deleted images ko recover kaise karte hai. Ye janna bahut jaruri hai kyu ki aaj kal har ek aadmi ke paas android samartphone rahta hai,aur har log bahut sare photo ko apne mobile me rakhte hai. Aap apne phone me bahut se aise image rakhte hai jo aapko bahut hi jyada pasand rahta hai. Aap apne family members ka bhi image apne phone me rakhte hai. Aur bahut se log apne dosto ka bhi photo rakhte hai apne mobile me,agar kabhi hamare mobile ke photo deleted ho jaye to hum kya karenge kya aapne ye socha hai, Haa friends kabhi kabhi hota ye hai ki hamara mobile koi kuchh samay ke liye le leta hai,jisko use karte samay mistake se koi important pictures hamare friends se delete ho jata hai. To aise me aap apne important images ko wapas kar sakte hai. Agar aapke paas android mobile hai,to aap apne phone se deleted image or photo ko wapas la sakte hai. Agar aapke bhi mobile se koi important images deleted ho gaya hai,to aap use recover kar sakte hai. Agar aapke android m,obile se images or photo deleted ho chuka hai to use recover kar sakte hai.
Android smartphone se delete kiya hua picture ko recover kaise karte hai. Ye bahut hi simple hai aap asani ke sath apne mobile se deleted photo ko recover kar sakte hai. Mai yaha par aapko ek aisa tarika bataunga jiski help se aap kisi bhi android phone ke deleted photos ko wapas kar sakte hai. To chaliye jante hai us apps ke bare me jiski help se hum kisi bhi smartphone se delete hua images ko recover kar sakte hai.
Android Phone Ke Deleted Images Ko Recover ( Wapas ) Kaise Kare
Android mobile se deleted images ko recover or wapas karne ke liye aapko ek apps ko apne phone me download karna hoga. Aap us aap ko free me download kar sakte hai. Aur phir aap us apps ki madad se apne phone ki images ko recover kar sakte hai.
Method 1. Restore Image Ka Use Kare:
Step 1. Sabse pahle aap Restore Image ( Super Easy ) Name ka apps ko download kare,aur apne mobile me install kare.
Step 2. Install karne ke baad ise open kare aur search the image you want to restore par click kare,ab scanning start ho jayegi.
Step 3. Ab scan complete hone ke baad aapke samne sabhi deleted images nazar aayenge,aap jis image ko recover karna chahte ho usko select karke Restore images par click kare.
Method 2. Disk Digger App Ka Use Kare:
1. Sabse pahle aap disk digger photo recovery app ko download / install kare.
2. Phir aap is app ko open kare aur start basic poto scan par click kare.
3. Phir aapka phone scan hona start ho jayega kuchh der tak wait kare aapko scan complete ka notification show hoga yaha ok par click kar de.
4. Phir aapke samne aapke phone se delete hua all images show hoga aap jise recover karna chahte ho un sabhi images ko select karke sabse upar recover button par click kar do.
5. Phir aapko images save ka option dikhega yaha par aap apne device ko select karke images ko save kar le.
To friends,aap is tarah se kisi bhi android mobile ka delete kiya hua image ko recover kar sakte hai.Aap chahe to se dumpster photo video restore apps ka use karke bhi deleted image photo wapas kar sakte hai.
Bro maine whtsapp image ko delete kr diya hai uske badh whtsapp acount change kiya hai , kya phle wali whtsapp IMG aa jaegi jo mujhse delete hui hai
ReplyDeleteAgar Aapne whatsapp account ka number change kar Diya hai to nahi aa Sakti hai but phir bhi aap 1 baar recover karke try kar sakte hai.
ReplyDeleteMere phone se sare photo graphs galti se dalete ho gya hai aur Maine yeh aap ke bataye hua aap (recovery image) install kiya lakin Isse v sab photo graphs wapas nhi aaye plz mujhe aur koi tarika batayea.
ReplyDeleteShiuli mandal jee aap hamare post me diya hua link se app ko donload karke try kare 100% image recover hoga.Aur aap sabhi step ko sahi se follow kare.
ReplyDelete2. Agar aap image recovery karne ka koi aur apps download karna chahte hai to play store se download kar sakte hai.Aapko play store par image recover karne ka bahur sara apps milega.
sir is app se photo recover nahi ho rahe
ReplyDeleteSachin kumar jee aap in sabhi step ko sahi se follow kare photo recover ho jayega.Lekin agar aap is app se image recovery nahi kar pa rahe hai to aap- Disk digger photo recover Our dumpster photo & video restore app ka bhi istemal karke image recover kar sakte hai.
ReplyDeleteMere gallery se sara chij hide ho gaya hai hai isko sahi kaise karu
ReplyDeleteAap all unhide karo ya phir aap apne galley app ka data or cache clear kar do.
ReplyDeletebakwas hai sab
ReplyDeletemaine try kar ke dekh liya kuchh bhi nhi huaa
Krishna jee ye fake post nahi hai, lekin agar aap apne deleted images ko recover nahi kar pa rahe hai,to aap ek baar play store se disk digger photo recovery app ko download karke try kare.Ye app 100% working hai aur agar aapko koi step nahi samajh aaye to aap hamse puchh sakte hai.
ReplyDeleteMira Sara photo resat Ho gaya hye 18/7/2017 ko main Kya karu plz help mee
ReplyDeleteAap is post ko follow karo Recover ho jayega.Ya phir disk digger photo recovery app ko play store SE download karo aur phir open karke scan par click karo sabhi deleted images nazar aayenge aap usme SE kisko Recover karna chahte ho usko tik karke Recover kar sakte ho is app ko mai bhi use karta hu.
ReplyDeleteKuch nai huya
ReplyDeleteDurgesh jee disk digger photo recovery app se mai kai baar photo recover kar chuka hu aap disk digger app ko sahi se try karo.
ReplyDeleteSb bekar app h kisi se bhi delete ki hui photo vapis nhi ati h.....hr ek app try kr lia...
ReplyDeleteUnknown, Aap disk digger app SE Image Recover Kare ho jayega,Agar aapse nahi hota hai to aap hame ye bataye ki aap kon sa phone use kar rahe hai mai aapki Puri help karunga Aapka image jarur recovery hoga..
ReplyDeleteSir mera mo. Ghum gya h or usme sare pics h m kaise unko recover kru
ReplyDeleteSearch this title on Google - mobile Chori hone par images video or all data delete Kaise Kare.
ReplyDeleteDono hi app bakwas hai kuchh nhi huaa balki jo cell me pic hai wahi dubara aa rahi hai or jo delete ki huyi hai woh nhi aa rahi h
ReplyDeleteLover point aap ek baar apps ko use karke bataye Q ki Maine is apps ko try karke Kai baar image Recover kiye hai.
ReplyDeleteRyt dono app bekar h kuch bhi recover nii hora
ReplyDeleteMujhe aaj se 1 hapte pehle tk k Data chahiye... Mai Apna mobile reset kr diya hu... Plz help me.... Mera Mobile Mi 4 hai
ReplyDeleteUnknown, Aap disk diggee app ko install kar scan karo sabhi image nazar aayega aap recovery kar lena.
ReplyDeleteRuhi, Please try one time.
ReplyDeleteEk bar nii bhot bar try kr liya h kuchh bhi recover nii hora
DeleteRuhi,Only image Recover hoga aur kuchh bhi nahi Jiske liye aap ko step bhi follow karne hoge automatically recovery nahi ho sakta OK.
ReplyDeleteSir koi root error as rha hai
ReplyDeleteAap kon Se Apps se image recover kar rahe Hai.Aap disk digger Ka use Kare koi problem nahi hogi.And aapka phone rooted Hai ya non rooted.
ReplyDeleteMera net dheere chalta he
ReplyDeletePhotos vapis nahi aaye disk digger app se bhi nahi please kuch or bataye mere jaruri photos kya vapis aayege
ReplyDeleteaap kisi mobile repair dukan par jakar apne phone ka backup karwa le.
ReplyDeleteSORRY PAR AAP NE ACHA MAJAK BANA RAKHA HE KUCH NAHI HOTA DADA
ReplyDeleteno bro, mai try kar chuka hu ye working tips hai koi majak nahi.
ReplyDeleteMena apne phone ko reset kiya hain or back up bhi tha photo kesa vapis ayenga
ReplyDeletePerpetually logical and an outstanding contribution to the world of bloggers.recover formatted data on Mac
ReplyDeletevery interesting keep posting. Samsung Galaxy A8s release Jan 2019
ReplyDeletesuperb & useful post
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeletenice sir apka post muje bahut acha laga or apki post me bahut achi tarke se samjaya hua hai or aap bahut achha sam jate hai thanks this post
ReplyDeletenice sir apka post muje bahut acha laga or apki post me bahut achi trick hai thanks this post
ReplyDeletenice sir apka post muje bahut acha laga or apki post me bahut achi trick hai thanks this post
ReplyDeleteYou made a great point! Thanks to this brand naming firm's new online course learning, all the knowledge that they shared with me led my new business to having an interesting name. daycare photography in Sydney.
ReplyDelete